Header Ads

Life Me Khud Ko Kamyab Banane Ke 10 Smart Tarike (Successful Tips)

Hi friends I'm Abhishek Shrivastava, Maine abhi abhi AVaddiction blog ko join kiya hai. Actually mujhe logo ki help karna bahut pasand hai isiliye maine is blog ke throw aapke sath apne thoughts share karna shuru kiya hai. Aaj mai aapko is article me life ko success banane, khud ko motivate karne or apne aapko kamyab banane ke bare me kuch tips bta raha hu. Ummid hai aapko meri post pasand aayengi.

Jindagi jeene ke raste bahut hai. Koi kis par chalta hai or koi kis par magar kuch hi log hote hai jo manzil tak pahuchte hai. Kyuki har ek rasta aapko manzil tak nahi pahucha sakta.

Main yaha aapko jo bhi bate bta raha hu wo sab mai apne dil se likh raha hu or agar aapko meri post pasand aayi to future me hum fir se aapke liye isse bhi badiya post le kar aayenge.


How to Make Your Life Successful 10 Smart Tips in Hindi

Duniya me koi bhi inshan chota nahi hota use chota uski soch banati hai. Mera manna hai ki inshan jo chahe kar sakta hai. Wo apne har sapne ko pura kar sakta hai, ha iske liye use jee tod mehanat karni padegi.


1. acchi kamiyabi ke liye hame ek accha insaan hone ke sath sath hamari soch ka accha hona bhi bahut jaroori hai.

2. hame wohi kaam karna chahiye jisme hamara interest ho or jo hame pasand ho. Jo kaam hame accha lagta hai us kaam ko ham acchi tarah se kar pate hai or usme kabhi asafal nahi hote.

3. hame apna ek target banana chahiye aur poori lagan se apna target poora karne ke liye mehnat karni chahiye. Agar aap aysa karenge to aap jarur jaroor kamiyab honge or agar mehnat ke baad bhi aap kamiyab nahi ho pate hai to aapko samajh lena chahiye ke aapki koshish me kahi na kahi koi na koi kami rah gayi hai. Jiski wajah se aap kamiyab nahi ho sake aur aapko dowara koshish karne ki jaroorat hai.

4. hamari zindagi ek samander ki tarah hai jaise samander me lahare uthati to kabhi girti hai theek usi tarah hamari zindagi me bhi utaar chadhaao aate rahte hai. Hame jaroorat hai ek saahasi insaan banne ki aur har mushkil se lad kar apni manjil tak pahuchne ki. Jo inshan mushibato ka samna karta hai use saflta jarur milti hai.

5. Kamiyabi jitni jada badi hogi raaste me mushkile bhi utni jada aayengi. hame dar kar apna rasta nahi badalna chahiye balki un pareshaniyo ko dat kar samna kar aage badhna chahiye aur manjil ko pane ka sapna poora karna chahiye.

6. Duniya me 2 tarah ke log hote hai jo kamiyabi ke liye alag alag tarah ke raste taaye karte hai ek wo insaan jo galat or aasan rasta choose karta hai dusra wo insaan jo sahi or mushkilo wala raasta taye karta hai. lekin jo log galat raasta taye karte hai hai wo kabhi kamyab nahi hote or agar ho jate hai to wo hamesa dusaro ko dukh dekar hi ho sakte hai wo kabhi asal kamiyabi nahi paate hai aur kamiyab hone ke baad bhi wo logo ki najro me bure bane rahte hai. Jo log sahi rasta taye karte hai unke raste me mushkile bahut aati hai par unhe khud par bishwaas hota hai ki wo ek din apni manzil tak jarur pahuchenge. Duniya me asali kaamiyabi, asali naam aur samman unhi logo ko milta hai.

7. Humare desh me bahut sari religion hai or ham ek aisi society me rahte hai jaha har jaati ke log rahte hai. Hame chahiye ke ham hindu, muslim, shikkh, isaai  or other sabhi religion ke people se accha behavior kare. Sabhi dharm aur jaati ke logo ke sath hame piyar se rahna chahiye kiyonki sabse pahla dharm insaaniyat ka hota hai or ham ek aise desh ke niwasi hai jaha har dharm aur jaati ke log niwaas karte hai. Aapse me dushmani karne se acha hai hume sabke sath mil-jul kar rahna chahiye.

8. Kuch log kamiyabi ke sapne to dekhte hai mager unhe poora karne ke liye qadam nahi badhate unka kahna hota hai ke aaj rahne do kal se shuruaat karenge to bhai kal to kabhi kisi ki jindagi me aane wala nahi. Ye ek aysi kami hai jo kisi ki bhi jindagi barbad kar deti hai. Kal ka kiya intjaar karna ager ap kamiyab hi hona chahte hai to aaj aur abhi uthiye or kamiyabi ki ek acchi shuruaat kijiye. Kya pata aaap puri duniya ko badal sakte ho.

9. Ager aap sochte hai ke ap bekaar hai, aap life me kuch nahi kar payenge, aap haar chuke hai, aap ab kuch bhi nahi kar sakte to aaj se aap apne mind se ye sab baate nikaal fekiye kiyoki jo apne aap par bharosha nahi karta wo kabhi kuch nahi kar sakta. Sabse jada jaroori hai aap khud ki achhai ko pahchane. Har inshan ko upar wala ek makshad se banata hai use pahchane or usi par kaam kare fir dekhna ye samajh aapko kitni izzat deta hai. Apne aapko kabhi chota nahi samajhe, agar koi or kisi kaam ko kar sakta hai to aap bhi wo kar sakte ho. Apni feeling ko positive banaye or negative sochna band kar de. Aapki jindagi khud be khud aapko mahan bana degi.

10.Koi bhi maa ke pet se sikh kar paida nahi hota, sab log duniya me aa kar hi sabkuch sikhte hai. Jo sache dil or imandari se mehanat karta hai wo aage badh jata hai or jo mehanat nahi karta wo sabse piche rah jata hai. Kuch log hatho ki lakiro par bahut wishwas karte hai or apni na-kamyabi par apni taqdeer ko kasoorwar btate firte hai. Magar mai aap sabih se kahna chahungi kismat unki bhi hoti hai jinke hath hi nahi hote. Insaan jaise karm karta hai use baisa hi fal bhi milta hai ager aapki taqdeer acchi nahi hai to ap bhi kasam kha lijiye ke ab ham khud apni taqdeer badal kar dikhayenge aur ek din dusre success log ki tarah smart ban kar dikhayenge.

Duniya me log bahut hai or sabhi apni life apni style me jeete hai koi kisi ko follow karta hai to koi kisi ko par mai aapse kahna chahungi ki aap khud hi aysi life jeeyo ki log aapko hi follow karna shuru kar de. Dusro ki copy karne se acha hai apni style me jiya jaye. Jo log apne andaz me jeete hai wo ek din mahan ban jate hai.


is sansar me inshano ki kami nahi par kide makode ki tarah jeene se acha hai koi aysa kaam kare jo duniya aapko sadiyo tak yaad rakhe. Aapko ye post kaisi lagi comment karke jarur btaye or ise apne dosto ke sath bhi jarur share kare.

No comments:

Powered by Blogger.