Header Ads

10 Reasons Jinki Wajah Se Sabhi Log Aapko Ignore Karte Hai

Sabhi Log Aapko Ignore Kyu Karte Hai Iski Wajah Kya Hai? Sabhi Mujhse Nafrat Kyu Karte Ho? Har Koi Mujhe Ignore Kyu Karta Hai? Log Mujhe Sunte Kyu Nahi? Kis reason kis wajah se people aapki bat sunna nahi chahate. Kyo koi aapko pasand nahi karta. Mujh me me aesi kya kamiya hai. Isi ke bare me hum yaha janne wale hai. Aesa kya kare ki hume sabhi log like kare or sabko humari bat achhi lage. Main yaha aapko 10 reason btaunga jinki wajah se log aapko nazarandaz kar dete hai. Aap in mistakes ko sudhar kar apni life change kar sakte hai or sabke pyare ban sakte ho.

Jab koi hume chjord humare friend ya kisi or ki bate sunte hai ya kabhi koi aapki bat nahi sunta to aapko lagta hoga ki aakhir log aapko ignore kyu karte hai. Kyo log aapse jyada dusro ki pasand karte hai. Kai ba aap me achaiya hone par bhi log aapse judna nahi chahate.

Actually, hum sabhi me koi na koi kami ya buri aadate hoti hai par hum uske bare me nahi jante, ye galat nahi hai but agar hum apni kamiyo ke bare me janna hi nahi chahate to wo galat hai. Agar aapke sath bhi aesa hota hai to samajh lo aapki bhi koi buri lat hai jiski wajah se koi aapko like nahi karta.


10 Buri Aadat Jinki Wajah Se Sabhi Aapse Nafrat Karte Hai

Humare andar kuch kamiya kuch buri aadate hoti hai jo logo ko pasand nahi aati unhi ki wajah se kisi ko humse bat karna achha nahi lagta. Aayiye jante hai wo 10 buri aadate konsi hai.


Sabhi Log Aapko Ignore Kyu Karte Hai Iski Wajah Kya Hai:


1. Kabhi Kisi Ki Nahi Sunna


You Don't Listen to the Others:- Agar aap kisi or ki bato par dhyan nahi dete or sirf apni bat karte ho to ye aadat chord dijiye. Koi bhi usse bat karna pasand nahi karega jo kisi or ki sunna nahi chahata. Aese person se koi bat karna bhi sahi nahi samajhega.

Apne mouth ko band rakho or apne ear ka istemal karo. Dusre log kya kahte hai ya wo aapse kya kahna chahate hai unki bat suno fir unse bat karo taki log aapse nafrat nahi mohabbat kare.


2. Dusro Ki Bahut jyada Burai Karna

Your Criticize too Much:-  Galat logo ki burai karo koi bat nahi magar burai karne ki bhi ek had hoti hai. Koi bhi aese insan ko pasand nahi karega jo humesha dusro ki burai me laga rahta hai. Aese person se log side se bach kar nikalna behtar samajhenge.

Humesha dusro me kamiya nikalna galat hai kabhi unki achayiyo par bhi dhyan do. Kabhi silent bhi raha karo ya fir dusro ki achai, prashansa bhi kiya karo or unhe khush karo taki kuch log to aapko pasand kare.


3. Kabhi Khud Ki Galti Nahi Manna

Your Are Never Guilty:-  Duniya me jitne me log hai har ek insan se apni life me kabhi na kabhi mistakes hoti hai. Ishwar ke siwa aesa koi insan nahi hai jo galti nahi karte. Aap galti nahi karte ye ho sakta hai but aap kabhi galti nahi karte ye nahi ho sakta, ye impossible hai.

Hakikat ka samna karo or jis tarah aap apni jeet ko accept karte ho usi tarah apni haar apni galtiyo ko bhi swikar karo. Agar aap aesa nahi karte ho to agle kuch time bad aapke pas bahut kam log apne honge.

4. Humesha Busy Rahna

You Are Always Busy:-  Har koi chahata hai ki suka dost uske sath chorda time bitaye. Koi aese friend ko pasand nahi karega jisme pas kabhi time hi nahi rahta or jo kabhi free nahi rahta. Aese me aapse sirf wohi bat karenge jinko aapse koi kaam hoga. Aese me aap achhe logo se dur ho jaoge.

I know hum sabhi apni life me bahut busy hai or hume bahut are kaam karne hai magar sirf work hi life nahi hai. Family, friends ke liye bhi chorda time nikalo taki aapko bhi koi time nikal sake.

5. Shekhi Bakharna

Boasting:- Hum sabhi time to time humari successes or achievement par bat karte hai or ek dusre ko uske bare me btate hai. But kuch log aese hote hai jo humesha apni successful story sunate firte hai. Aese logo ko sabhi boring samajhte hai or koi unse bat nahi karna chahata.

Apni successes par bat karna buri bat nahi hai karo but uski ek limit rakho or us limit se jyada apni achai mat karo warna people aapko murkh samajh kar ignore karne lag jayenge.

6. Apna Swarth Sidha Karna

Selfishness:-  Hum dost banate hai or jahir se bat hai jab dosti gaheri hoti hai to paiso ka len-den bhi hota hai. But kuch log apne dosto se paise le kar wapis lotane ka name hi naih lete. Aese logo se na to koi friendship karna pasand karta hai or na hi bat karna.

Lene ka name dena hota hai. Is hath lo or us hath do. Aapne kab kis se kya liya kor kab diya kisi ko pata nahi chalna chahiye. Selfishness mat bano or dusro ke bare me bhi socho.


7. Sirf Negative Feeling Rakhna

You Are Full of Negativity:-  In other words, aap un logo me se ek hai jo humesha mushibat me rahte hai or jin par humesha koi na koi aafat aayi rahti hai. Aapki zingagi kabhi kale badalo se khali nahi hoti or apa humesha dusro se help mangte firte ho.

Mushibato ka samna karo apni problems dusro ke sath share mat kaor unhe khud solve karo. Har matter ko negative nazar se mat dekho positive bano taki log aapse bat karna chahe.

8. Kabhi Serious Na Hona

You Don't Anything for Serious:-  Khush rahna sabhi chahate hai or jo person humesha khush rahta hai use sabse jyada people like karte hai. But kuch log koi bhi matter ko serious nahi lena chahate unki life me sabkuch funny hota hai. Aese logo se sabhi bachna chahate hai.

Khusgh hona galat nahi hai but jarurat padne par kisi matter ko seriously na lena bhi sahi nahi hai. Aap khush raho or sabko khush rakho par serious issue ko seriously lo.

9. Aap Beiman Hai

You Are Dishonest:-  Jab bhi hum bahut se log ek jagah par ikkathe hote hai to achhe burre logo ki bate jarur hoti hai. Ek person aesa hota hai jiske bare me sabhi kahte hai ki wo sachmuch bahut hi honest hai or humesha sach bolta hai or uske sath relation hona achha hai. But kuch log aese bhi hote hai jinke bare me dishonest, liars jaise word use hote hai.

Sabhi ke sath imandar bane raho. Kisi ke sath beimani mat karo or kisi se jhooth mat bolo taki aapke dushmano se jyada dost ban sake.


10. Aap Bat Karne Ke Layak Nahi Ho

You Are Rude:-  Agar aap sabhi ke sath badly behaving karte ho, dusro ko abuse karte ho or dusro ki insult karte ho to shayad hi koi hoga jo aapko like kare. Aapke sath koi 2 minute bitana bhi pasand nahi karega.

Stop it. Ise band karo agar aap kisi se agree nahi hai to sahi words ka istemal kar use samajhao or agar wo fir bhi na mane to use uske hall par chord do. Ise gali de kar apmanit mat karo uski burai mat karo. Layak bano nalayak nahi.

Conclusion

Agar aap apne aap me in kamiyo ko theem kar lete ho to I sure aapko sari duniya pasand karegi or sabhi log aapse pyar karenge, Koi aapko ignore karne wala nahi hoga. Har koi aapse bat karna chahega.

Us cheezo par dhyan do jo aap karte ho ya aap dusro ke sath kaisa believe karte ho. Agar aap me kamiya hai to unhe sahi karo. Agar aap khud ko nahi sdhar sakte to aapko dusro ki burai karne ka koi haq nahi hai. Yaasd rakho duniya me sabse jyada mistakes aap hi karte ho jis din aap theek ho jaoge samajh lo us din puri duniya sudhar jayegi.

Jab aesa hoga to aapke pas ek do nahi millions chahane wale hone or log aapse bat karne ko taras rahe honge. Oh! kya yakeenan aap aesa chahate ho to fir abhi se apne aapko badalna shuru kar do apni un sari kamiyo ko nikal feko jo ki aapme nahi honi chahiye.

No comments:

Powered by Blogger.